Tum Kya Ho Lyrics

Kya tum mere liye ho
Ya tum apne ho
Chhu kar, kar lo yakin
Kya tum sach mein ho

Tay jo kiya woh safar ho kya tum
Meri gali ganv ghar ho kya tum

Dil ko hai veham bolo tum kya ho
Meri hai uljhan bolo tum kya ho
Tum kya ho

Main rait ka dana tha
Mera rishta kabhi tha zameen se
Mujhe teri hawa mili toh
Mujhe aasma mila wahin pe

Main jo hasa woh hasi ho kya tum
Roya jo main woh nami ho kya tum
Tum kya ho?

Main khali sa rasta
Tere mujhpe kadam hai pade
Main milon milon chalu
Yun lag ke tujhse gale

Jis se ho din dhoop wo ho kya tum
Mere chand ki roshni ho kya tum
Tum kya ho?
Tum kya ho?