Tere Ho Ke Lyrics
Itne kisso kahani mein aa hi gaye
Asliyat mein nazar toh milao zara
Humne bhi dekhe hai maana chehre kayi
Tere jaisa naa dekha hai ek bhi yahaan
Yeah, tujhe pata hai mera naam kya hai
Jo tu naa mili toh jeene ka mukaam kya hai?
Damn, bata kya chhu ke tujhe jaan jaaye
Ya phir tere pichhe sach mein meri jaan jaaye
Tab bhi tere the, hum aaj bhi tere hai
Kya tujhe dhundhne ko duniya palat daalu mai?
Mera soya hua jaanwar jaga du mai?
Mujhe dar hai tere pyaar ka maara
Kahi itihaas naa bana du main
Jab bhi hum tere hi the
Ab bhi hum tere hi hai
Toofan mein cheez banayi thi
Socha tha tumko sunayenge
Toofan mein dhun bhi toot gayi
Naa jaane panne kahaan udd gaye
Hum mar gaye, tere hoke
Hum mar gaye tere hoke
Hum mar gaye tere hoke
Bas mar gaye, tere hoke
Itne kisso-kahani mein aa hi gaye
Asliyat mein nazar toh milao zara
Humne bhi dekhe hai maana chehre kayi
Tere jaisa naa dekha hai ek bhi yahaan
Maine tere jaisi aaj tak kyu dekhi ni kabhi
Mere pyaar mein hai der par andher ni kabhi
Aaya saamne toh nazre kyu tu pherti rahi
Duniya jaan leti rahi aur tum hasti rahi
Intezaar teri aankhon ka khatam ho gaya
Tune haath chhoda aur mai besharam ho gaya
Tere saath dikhta tha toh mai insaan lagta tha
Tere saath saansein lena bhi inaam lagta tha
Mai mashoor ho jau toh tujhe bhool naa jau
Tere baare mein mai buri baate sun na pau
Tu bhi saamne aur khuda mere saamne ho
Teri kasam dono mein se ek ko mai chun naa pau
Tujhe jaana hai toh abhi chali jaa
Pyaar karne ka ye kaisa naya tareeka
Tere bina rakha jaata ni hisaab samay ka
Ye banda saansein chhod ke bhi tera rahega
Mai kade tenu yaad ni karna ve
Dubara tera naam ni lena ve
Ye din mere kaashni ho gaye hai
Kehndi aaj aazaad si ho gayi mai
Tujhe pata hai mera naam
Mai chala jab seedhi si raahon pe
Tujhe dekh, jaane kahaan mud gaye
Jab pata laga ek chhalava tha
Tab tak manzil ka pata bhool gaye
Hum mar gaye, tere hoke
Hum mar gaye tere hoke
Hum mar gaye tere hoke
Bas mar gaye, tere hoke
Itne kisso-kahani mein aa hi gaye
Asliyat mein nazar toh milao zara
Humne bhi dekhe hai maana chehre kayi
Tere jaisa naa dekha hai ek bhi yahaan