Warcry Lyrics
Woh gulliyon se nikal ke raja bana
Woh ghar se thaan ke gaya tha
Karunga main kuch toh bada
Duniya wale tokte rahe,
Woh sunta ab kisi ki hai kahaan
(you know, fu*k this shit)
Mai sach kahunga toh kadwi lagegi
Paisa jo nachega haatho pe duniya bas teri sunegi
Ye sach ki tu bhi marega aur woh bhi maregi
Jo sab hi reh jaana yahaan pe, shaanti kise milegi?
Ab bata tu bulleya, maine kitne paap kiye
Hisaab hi nahi, maine kitne saaf kiye
Gareebi mein jiya aur kitne saal diye
Ab puchhoge mujhse ke kya hai sahi
Aur kya hai galat but honestly, don't give a
Aankhein khuli meri duniya mein
Tabse lada is duniya se
Shayad koi raja naa hota
Jo dab ke jiya hota laalach ki duniya mein
Ye waise to naam hi hai par
Karna chaahta aisa kuchh is duniya mein
Ke phir se naa soche koi chhote ghar ke naa
Ban sakte desh ki buniyadein
Mai kya karu jo khwabon ko raja ne
Maarna seekha nahi hai
Andar mein mere ek dar hai jo
Abhi bhi duniya ko dikha nahi hai
Mai kuchh is hisaab se likhta hu
Zindagi aur mere beech ki ye baate
Isme hai sab kuchh likha par
Harna kabhi bhi likha nahi hai
Ye meri galti hai, mai ye bhi janta
Jo khudse naa bana, mai usko kuchh ni manta
Bina lakshya ke jiya jo banda,
Hota ni kisi bhi kaam ka
Mera baba kehta tha mauke bhi honge
Jahaan pe gussa bhi hoga sar pe aur dange bhi honge
Jo sach hi tu kahega toh jalne wale bhi toh honge
Toh bas maar ke gusse ko lag jana lakshya pe sarfira
Bata tu bulleya, maine kahaan kami rakhi?
Jo seekh tune di, maine panno pe likhi
Mera dada mit gaya par baat amar rahi
Jab tu likhega jaake apne haatho se zindagi,
Chhodiyo naa koi kami
Woh dhoopo mein tap ke bana,
Nange paon woh race'on mein bhag ke bana
Usne haq se hawa badli tabka badha
Tab woh baap ke pairo ke takhte bana
Ladke luck se bana, ladka haq se bana,
Jeeta mehnat aur dardo ko chaske bana
Dehi maare toh khaata woh chura-chana,
Ab woh auro ko deta hai nakshe bana
Maanjhe se kaate jo gudde the saste
Woh manjhi sa kaate pahado mein raste
Jo pahade padha phir akhade khada,
Uske kandhe the chhote par bhaari the baste
Ye bandar bhi dekhe madari pana,
Zimmedari le ghume, sawari bana
Cycle ko tu bhi ferrari bana,
Chahe khanjar se qismat ki dhaari bana
Tu bas kalam utha, ye taaj hai tera
Mai bolu tujhko raaj kyuki rajya hai tera
Duniya walo ko de duniya,
Apna khudka tu jahaan de bana
(king, get that shit)
Tu sach kahega toh teri lagegi
Seenchega jhooth ka paudha toh meethi naa beri lagegi
Tu bachi ye jung ladega, kachehri lagegi
Haath jo kholega, bolo ki boli bhi teri lagegi
Bata tu bulleya
Maine itne vaar sahe, nishaan bhi nahi
Tera beda jo paar kare woh deewangi meri
Saare saanpo ko maaru pare
Ab puchhoge mujhse ke kya hai
Sahi aur kya hai galat, honestly I don’t give a
Ghar pe tha patti ka dabba
Aur dabbe ke andar ek chaabhi dabi thi
Dekha jo gaur se maine toh
Dabbe ke upar bhi dhool hi jami thi
Meri maa ne kaha, "Leke aa baksa,
Keemati kuchh cheezein rakhi thi"
Woh kone padi ek photo purani aur ek ghadi,
Shaayad yaadein judi thi
Mai puchha, "Ye kaun hai photo mein?
Jo dikh raha abhi zinda nahi hai"
Bataya gaya mujhe naam
Aur bola ye sadharan banda nahi hai
Naam lahori, sikandrabad se jade bhi teri judi hai
Ye woh hai jo tere pita ji ko paal,
Bada kiye, roti bhi inhi ki di hai
Mai kehna chahti hu ke
Din ek jaise nahi rahenge sada
Ye ghadi batati bas waqt
Chahe banda ho jaaye jitna bada
Tu bhi dekhega nazaare kaun hoga
Tere saath mein khada
(you know, fu*k this shit)
Sun le raja, pehle ye duniya hasegi
Tujhe girana bhi chahegi niche aur kami ginegi
Ye sach hai tu jo likhega baate woh hoke rahengi
Toh sach hi keh jaana saara, naa baad mein khaak bachegi
Ab bata tu bulleya, mujhe zindagi kyu ye di
Tune kaha se shuru kari? Aur kaha ye aa gayi?
Pehle kitna darta tha, ab kisi se darta nahi
Pakad ke chal raha jo dor tune di
Ab bata tu bulleya, maine kitne paap kiye
Hisaab hi nahi, maine kitne saaf kiye
Gareebi mein jiya aur kitne saal diye
Ab puchhoge mujhse ke kya hai sahi
Aur kya hai galat but honestly, don't give a fu*k
Comments
Post a Comment